What is HTML


About HTML

HTML stands for Hyper Text Markup Language, ye language website ke pages ko develop karne ma use hota hain

HTML Berners-Lee ne 1991 ma banaya tha. Lekain HTML 2.0 pehla standard HTML tha jo 1995 ma publish kia gia. HTML 4.01 major version tha HTML ka ar ye 1999 ko publish howa ar aj hum HTML 5 par kaam karte hai jo 2012 ma publish howa hai

Ye article Web Designer ar Developers keliye banaya hai. Jo Websites banane ka khawab dil ma rakhte hai. Umeed karta hun ye article ap keliye mufeed sabit hoga

Aj hum es ma articles ma HTML Tags ke bare ma bat karein ge jab aik bar hummain Tags ki samaj agayi phir website banana itna mushkil nhi hai

HTML Tags

HTML ke Tags angles braces ma enclosed hote hai. Kuch tags ke elawa baqi tags ke closings tags hote hai. Jesa ke <html> ar es ka closing tags hai </html> ar <body> ka closing hai </body>

<!DOCTYPE.. >
            Ye tag document type ar HTML version ko define karta hai

<html> 
      Ye tag HTML document ko enclose karta hai es ma main tags document header tag ata hai <head>....</head> ar document body tag ata hai <body>.... </body>

<head>

      Ye tags header document ko represent karta hai jes ma ar HTML tags ate hai <title>, <link>

<title>
    Ye tag title ko represent karta hai

<body>
     Ye tag body document ko represent karta hai jes ma ar HTML tags ate hai <h1>, <div>, <p> etc

<h1>
    Ye tag heading ko represent karta hai

<p>
    Ye tag paragraph ko represent karta hai

<div>
     Ye tag division ko represent karta hai

<br/>
     Ye tag line break keliye use hota hai

<center>
     ye tag content ko center ma rakhne keliye use hota hai

<hr>
   Ye tag content ke darmian line banata hai


HTML Document

Ye aik example hai HTML Document ka

<!DOCTYPE html >
<html>
     <head>
          <title>Ye aik Demo Title hain</title>
</head>
<body>
<h1>Ye Demo Heading hain</h1>
<p>Ye Demo Paragraph hain</p>
</body>
</html>


Oper Articles hum ne HTML Basics ke bare ma bataya hai. Agr apko es ki samaj agayi tou samjo apka adha kaam ho gya..




Post a Comment

أحدث أقدم